Fir Se Muskuraega BHARAT


Fir Se Muskuraega BHARAT

Ye kya hua hai aaj is kayanat ko,
Dekhte dekhte mahino beet gaye is baat ko.
Dukane band hui udane band hui,
Har pal bhagne wala insan band hua apne Makano me.
Ek chhote se virus ne kya kamal kar dikhaya hai,
Apne aap ko mahan samjhne wale insan ko acha maja chakhaya hai.


Tel ka tel nikal gaya non veg ki band Dukan hui
In do mahino me hi pura arth vaywastha charmara ke nidhal hui
Chaina ka nam badnam hua hindustan sab ka rahnuma bana 
Kisi ek ne rog diya aur is marj ki dawa dhundhne me puri duniya ek dor hui


Maykhane itne jaruri the ye ab ja ke Malum hua
Jo khud sambhal pate nahi the desh ko sambhalna unhi k kandho ka bhar hua.
Pata nahi gujrat itte din se kese khada hai waha to ye sab sadiyo se band pada hai


Ab wo gali muhallo me ghumte aashiko ka Jor nahi,
Isliye ab beauty parlor wala kharcha aur nahi.
Ye Corona kal kya kya samay dikha raha hai,
Dur desh me bethe logo ko bhi ghar  bula raha hai.
Pair me chhale padh rahe hai fir bhi dekho,
Mere Desh k majdur milo paidal chal rahe hai.


Doctor shipahi aur sara desh isse ladh raha hai,
Dekhte dekhte naya bharat gadh raha hai.
Fir se uthega ye bharat desh hamara fir hogi khushali,
kal hogi uchi udhane, sugandhit hawa, eid holi aur diwali.

Par  mere dosto..........
Kal ki uchi udhano k liye,
Aaj ka ghar me rahna jaruri hai.
Kal khule hawa me saas lene ke liye,
Aaj muh pe mask jaruri hai.
Kal ki eid holi aur diwali  mil k manane k liye,
Aaj ki social distancing jaruri hai.


Jai Hind, Jai Bharat

Stay Home, Be Safe


Ansh

Comments

  1. Touching linesπŸ™πŸ™

    ReplyDelete
  2. Is tarah lock down ne jine ka dhang sikha gya

    ReplyDelete
  3. Fir muskurayega Bharat.. πŸ‘ŒπŸ‘Œ

    ReplyDelete
  4. Reality explained beautifully πŸ‘ŒπŸ‘Œ

    ReplyDelete
  5. Fir se zarur muskurayega bharat πŸ‘πŸ‘Œ

    ReplyDelete
  6. Very well written bro..
    I also run a blog of poetry ...do visit if you get some time ��

    https://dilkikalambykhushal.blogspot.com

    ReplyDelete

Post a Comment

Popular posts from this blog

HBD MY BETTER HALF

Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di..

Kuch Alfaj Mere Kalam Se Tumhare Liye