Musafir Andhere Rasto Ka




Musafir Andher rasto ka
Manzil ka nahi mujhe pata
Na pahle aana chahta tha is safar me
Na ab chhod ke jane ko jee chahta hai



Zindagi ka safar bhi kitna nirala hai 
Char din ka safar hai aur mahine bhar ka rashan jutana hai
Bhoot bhavishya sab secure karna hai
Agle hi pal me kya hoga kab kisne jana hai



Din bhar pasine baha baha ke kam karte hai 
Chand lamhe thandi hawa me raat bitane ko
Pata hai Agale hi mod pe mout khadi hai 
Par zindagi Jine ke liye ye Jung har roj ladi hai 



Har rishte me matlab chupa hai
Yaha koi kab kiske liye ruka hai 
Sabka apna apna safar hai 
Saki apni apni manzil hai 
Akela aaya tha musafir is safar me tu
Akele jana hai manzil talak tujhe 
Fir kyon ye bich me hamsafar dhundhta hai
Aakho me jo anginat sapne hai
Ho na ho bus yahi tere apne hai
 


Sube ki angadai aur din bhar ki tanhai hai
Dekh tere dahlij pe mout ne dastak lagai hai
Kiss baat ka khauf hai tujhe musafir 
Yahi to teri aakhari manzil hai 
Jiske liye tune itni ijjat kamai hai
Na kuch tu sath le ke aaya tha 
Na kuch sath le ke ja payega 
Yado ka samndar bus is dhara ko de jayega 




Musafir Andhere rasto ka
Manzil ka nahi mujhe pata 
Na pahle aana chahta tha is safar me
Na ab chhod ke jane ko jee chahta hai


ANSH....

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

HBD MY BETTER HALF

Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di..

Kuch Alfaj Mere Kalam Se Tumhare Liye