PAPA THIS IS FOR YOU


Pita ke jaisa dost nahi 
pita ke jaisa na koi hamdard
Na unse koi pehle hua aaj 
na hoga kabhi kal 

Jism unka ruh unki raat unki din ki doop unki
Mera kya hai jo main laya hu sab unhi ka hai jo main paya hu
Aane se mere chamak uthi thi unki aakhe
Kiye the mera swagat faila ke apni bahe
Kand kand me unke main samaya hu
Unki hi to main ek chhaya hu



Har zid meri puri karne ko har pal karte the kam wo
Na Raat me na din me karte kaha the aaram wo
Har sapna unka unhone mere liye chhod diya 
Mere aakho se dekhne lage duniya 
Apne liye jina chhod diya 
Jee li apni zindagi mere hi liye 
Apni khushiya mere pe nayochhar diya
Kand kand me unke main samaya hu
Unki hi to main ek chhaya hu


Naam mera jo hua hai aaj se
rakha tha unhone bade hi naaz se
Hasna Rona pana khona sab mujhse tha unka 
Mera unki duniya me aajane ke baad se
Milo ka safar jo tay kar paya hu
unhi ne sikhaya tha chalna
Pakad ke mera hath apne hath me
Kand kand me unke main samaya hu
Unki hi to main ek chhaya hu




Maine bhale hi chhu li ho chand sitare 
Paa li ho badi badi awards aur degreeya 
Duniya ke liye aaj main bahut acha hu
Unke liye aaj bhi main unka nadan bachcha hu 
Kya kiya hai maine apni zindagi me 
Sab kuch chhota hai unke bachpan ki kahaniyo ke samne
Kabhi mere samne wo meri tarif nahi karte
Par jab na hu main to ek pal bhi unke nahi katte
Kand kand me unke main samaya hu
Unki hi to main ek chhaya hu


Kal main bhi apne bachche ka pita banunga 
Main bhi use apsa pyar dene ki kosish karunga 
Ho sakta hai wo mujhsa ban jaye
Par kya main kabhi aap sa ban paunga 
Kand kand me aapke main samaya hu
Kya main bhi uske kand kand ko apne me sama paunga 
Aur Jaise main aap ki chhaya hu kya wo bhi meri chhaya ban payega


Love u PAPA
ANSH

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

HBD MY BETTER HALF

Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di..

Kuch Alfaj Mere Kalam Se Tumhare Liye