MUJHE NAHI LAGTA
Jab tutta hai dil kisi ka to aawaj nahi hoti
Wo aawaj Dafan ho jati hai sine ke kisi kone me
Usi aawaj ko aap ke samne lane ki kosish ki hai
Mere us aah ki aawaj ke liye aap se wah chahunga
To maine kaha ki agar utha li Kalam maine aur uski Surat sochte hue likh diya kuch in panno me to fir padh ke kisi dil jale ke aakho se aasu na chalake mujhe nahi lagta
Tere bad sirat chahre ko Chand ki tarah manta tha main
Tere na Pak murat ko khuda ki tarah pujta tha main
Khud tinke ko tarash tarash ke bhi teri har khawaish Puri karta tha main
Par ab sun le jese toda hai ghar tune mere man mandir ka
Ki ab teri to kya khud khuda ki bhi
ab is dil se ibadat ho payegi mujhe nahi lagta
Tere bewajah ruthne ko har pal manata tha main
Tere magaramacch ke aasu pochne ko bhi apne hatho ko rumal banata tha main
Khud Raat jag jag ke bhi tujhe sulata tha main
Par ab sun le jo diya hai dard tune is dil ko
Ki tujhse to kya apne aap se bhi
ab ye mohabbat ho payegi mujhe nahi lagta
Tere ulajhate lato ko tere chahre se hatata tha main
Tere labo ke muskurahat ke liye khud joker ban jata tha main
Khud tukdo me bikhar ke bhi tujhe sambhalta tha main
Par ab sun le jese toda hai tune mere is dil ko
Ki marham se to kya duao se bhi
Ab ye darde dil ka ilaj ho payega mujhe nahi lagta
Tere pyar me likhe har ek letter ko sine se lagata tha main
Tere mohabbat me bole lafaj ko har pal gungunata tha main
Khud Sayar hone ke baad bhi tere ulte sidhe lines ko apne dil ke panno pe sajata tha main
Par ab sun le tere jhuthe kasme wade se bhare khato ko
Ab mere ghar k dustbin me bhi jagah mil payegi mujhe nahi lagta
Tere aane me 10 min ki der ho jane se bhi dar jata tha main
Tere sir me dard hone pe raat bhar dabata tha main
Khud jakhmi hoke bhi tere halke se kharoch me Ghanto marham lagata tha main
Par ab sun le zindagi ke safar me kahi tujhe maut bhi aajaye to tere zanaje pe
Meri aakho se aasu ki ek boond bhi chhalak payegi mujhe nahi lagta
https://youtu.be/qbcBsjH5x1M
ANSH...
Comments
Post a Comment