ALVIDA




Alvida sunte hi jaan nikal jayegi meri
Kyon ki ye sabad nahi jajbato ka samndar hai
Jiski halki si hawa utha deti mere dil me bawandar hai
Alvida kahna nahi kabhi kisi mod pe
Sath honge hum jindagi ki har ek dor pe

Din ka unjala aur rato ki chandani tere hone se hai
Tere alvida kahne ke baad to sannata hi sannata mere dil ke har kone me hai
Abhi to Chu jati hai meri wo baat tere dil ko jo na kah ke bhi maine tujhse kahi hai
Par alvida kahne ke baad mere lafaj mere Juba se nikal ke bhi tere kano tak nai pahuch payenge
Alvida kahna nahi kabhi kisi mod pe
Sath honge hum jindagi har ek dor pe

Mere jisam me teri khusbu har pahar hai
Mere need me tere khabo ki lahar hai
Tu nahi to mahfile bhi Viran hai mere liye
Is Sansaar ka har saksh anjan hai mere liye
Tu hai to mera apna ek Wajud hai
Tu nahi to ye sari duniya mere liye fijul hai
Alvida kahna nahi kabhi kisi mod pe
Sath honge hum jindagi har ek dor pe

Ye Raahe mujhe Manjil tak bhale hi le jayengi
Par manjil pane ki khushi to tere sath hone par hi mil payegi
Akele Manjeel pane se bahtar mere liye
Ye tere sath bitaya hua safar hai
Kabhi alvida na kahna chahe yu hi jindagi safar me nikal jaye
Ye safar hi to jindagi hai meri kyon ki is safar ke har pahar me tu hi tu hai
Alvida kahna nahi kabhi kisi mod pe
Sath honge hum jindagi har ek dor pe


https://youtu.be/d-L_yrHNLdU

Ansh.....

Comments

Popular posts from this blog

HBD MY BETTER HALF

Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di..

Kuch Alfaj Mere Kalam Se Tumhare Liye