Posts

वो बैठी है मेरे सामने

Image
वो बैठी है मेरे सामने इस दिल से आवाज नहीं निकलती उसे क्या बताऊँ उसके लिये इस दिल में मोहब्बत है इतनी की बस उसी के लिए तो इस जिस्म से अब तक जान नहीं निकलती वो सोचती है कि बस इस ज़िस्म का हूँ मैं पर वो कम्बखत मेरी रूह को नहीं समझती बस्ती है मेरी जान मेरी जान में बस और वो पगली इतनी सी बात नहीं समझती रातो को बस उसके ख्याल में खोया रहता हूँ दिन के उजाले में बस उसके सपनो में सोया रहता हूँ वो रुठ जाती हैं मुझसे जैसे मैं उसकी परवाह नहीं करता उस दीवानी को क्या बताऊँ की उसके बिना तो मेरा एक पल नहीं कटता वो हर रोज आ जाती है बिन बुलाये मेरे सपनो में उसके कारण सुबह उठने का दिल नहीं करता बस सोता रहू ताकि वो मेरे सपनो से ओझल ना हो जाये और वो अंजान इन बातों से खुद ही उठा देती हैं मुझे मेरे ख्वाबो से प्यार किया हैं तो निभाऊंगा हर पल उससे हर पल साथ रहेंगे हम अब ये वादा है मेरा उससे यही खुदा से दुआ की हैं मैंने हर पल अपने इबादत में की पूरी हो जाये हर एक मन्नत उसकी जो उसने कभी मांग भी हो अपने ख्वाबो में अब तो इल्तिजा हैं मेरी चाहें जान भी निकल जाये पर मारना भी है तो अपनी जान की बा...

Adhuri SHAYARI

Image
In Himalaya se bade jahajo ke malwo se main Apne liye ek chhoti kasti bun raha hu Chhod ke ye najme gajale kavitao ko main Tere liye ek Adhuri sayari likh raha hu Likh raha hu aaj kal to main  Jo aawaje aarahi dil se meri Ilam hai nahi mujhe Ye Najme gajale ya kuch aur hi ban rahi Main to soch ke khayalo me mere Is awajo ki rajai bun raha hu Chhod ke ye najme gajale kavitao ko main Tere liye ek Adhuri SAYARI likh raha hu Tutna to mukaddar me tha mera Mujhse Juda hoke ansh tujhme sama raha mera Bhool ke ye aaj kal mera Main tera aane wala kal likh raha hu Chhod ke ye majme gajale kavitao ko main Tere liye ek Adhuri SAYARI likh raha hu Ki parwah nahi aaj khud ki mujhe Bus tujhe pane ki chah kar raha hu Tere pyar ke masalo ke samne main Ek patanga sa jal raha hu Fir bhi ye dastane mohobato ki main Tere dil ke panno pe likh raha hu Chhod ke ye najme gajale kavitao ko main Tere liye ek Adhuri SAYARI likh raha hu https://youtu.be/Ht4rF82_NqI Ansh....

ALVIDA

Image
Alvida sunte hi jaan nikal jayegi meri Kyon ki ye sabad nahi jajbato ka samndar hai Jiski halki si hawa utha deti mere dil me bawandar hai Alvida kahna nahi kabhi kisi mod pe Sath honge hum jindagi ki har ek dor pe Din ka unjala aur rato ki chandani tere hone se hai Tere alvida kahne ke baad to sannata hi sannata mere dil ke har kone me hai Abhi to Chu jati hai meri wo baat tere dil ko jo na kah ke bhi maine tujhse kahi hai Par alvida kahne ke baad mere lafaj mere Juba se nikal ke bhi tere kano tak nai pahuch payenge Alvida kahna nahi kabhi kisi mod pe Sath honge hum jindagi har ek dor pe Mere jisam me teri khusbu har pahar hai Mere need me tere khabo ki lahar hai Tu nahi to mahfile bhi Viran hai mere liye Is Sansaar ka har saksh anjan hai mere liye Tu hai to mera apna ek Wajud hai Tu nahi to ye sari duniya mere liye fijul hai Alvida kahna nahi kabhi kisi mod pe Sath honge hum jindagi har ek dor pe Ye Raahe mujhe Manjil tak bhale hi le jayengi Par manjil ...

LADKE

Image
Ek ladka hona bhi Kamal hota hai Aasu pee kar har pal chahre se hasna hota hai Dikha nahi sakte hum hale dil ki daastan kisi ko Kyon ki Pata nahi kisine kah diya tha ki MARD ko dard nahi hota hai Dosti hamari bahut gahri hoti hai apne yaro se Hume fark nahi padta idhar udhar ke chugali karne walo se Par kabhi kabhi dosti ke bich me pyar aa jata hai Wahi pyar jise pane ke liye bahut papad bele the yaro ne Pyar chhute to dil tut jata hai aur dost chhute to jaan hi nikal jati hai Par ye dard bus apne sine ke andar hi rakhna hota hai Kyon ki Pata nahi kisine kah diya tha ki MARD ko dard nahi hota hai Raat me sote wakt hamare aakho me kai sapne hote hai Par so ke uthne ke baad hath me sabji lane ke liye thaila hota hai Hero jese dikhane ki dil me ek alag hi Tamanna hoti hai Par apne pasand ke kapde pahan nahi pate hai Kyon ki papa ko aaj kal ke hero nahi bhate Apne ikchaye dil me hi kai baar dabana hota hai Kyon ki Pata nahi kisine kah diya tha ki MARD ko dard n...

Wo 2 4 Dost

Image
Jise khof na hota hai duniya dari ka Wo to apne yaro ke yaar hote hai Kyon ki Kahne ko to dost 1000 hote hai Par sache wale bus 2 4 hote hai Bahar ki ladai ho ya ghar ka masla ho Gf ka lafda ho ya samne wala tagda ho Sab ka ilaj chai ki chuskiyo me rakhte hai Kyon ki Kahne ko to dost 1000 hote hai Par sache wale bus 2 4 hote hai Wese to samne kabhi tarif nai karte Par kisi aur ke muh se ulta ek sabd nai sunte Kahte hai Wo dost nai bhai hai apna Sath dekhte hai har chhota bada sapna School ka last wala bench ho ya clg ke canteen ka Aakhari samosha Kuch bhi yaado ke samandar me tatol lo Gin ke 2 4 chahre hi najar aate hai Kyon ki Kahne ko to dost 1000 hote hai Par sache wale bus 2 4 hote hai Papa ke samne bus ek wahi sarif hote hai Baki sab to nikamme aur jalil hote hai Night out ke liye manwana ho ya picnic ke liye jana ho Main hu na uncle mere sath jayega kah ke papa ko manate hai Sab hone ke baad sath ghar chhodne aate hai Pata nai humse jada wo kyon pa...

MUJHE NAHI LAGTA

Image
Jab tutta hai dil kisi ka to aawaj nahi hoti Wo aawaj Dafan ho jati hai sine ke kisi kone me Usi aawaj ko aap ke samne lane ki kosish ki hai  Mere us aah ki aawaj ke liye aap se wah chahunga Kisi ne kaha mujhse ki bewafai pe kuch likho to fir samjh aaye ki kitna dard hai sayri me tumhare To maine kaha ki agar utha li Kalam maine aur uski Surat sochte hue likh diya kuch in panno me to fir padh ke kisi dil jale ke aakho se aasu na chalake mujhe nahi lagta Tere bad sirat chahre ko Chand ki tarah manta tha main Tere na Pak murat ko khuda ki tarah pujta tha main Khud tinke ko tarash tarash ke bhi teri har khawaish Puri karta tha main Par ab sun le jese toda hai ghar tune mere man mandir ka Ki ab teri to kya khud khuda ki bhi ab is dil se ibadat ho payegi mujhe nahi lagta Tere bewajah ruthne ko har pal manata tha main Tere magaramacch ke aasu pochne ko bhi apne hatho ko rumal banata tha main Khud Raat jag jag ke bhi tujhe sulata tha main Par ab sun le jo diya ha...

BAHAN

Image
Bahan Bachpan ke yado ke panno pe bus wahi ek chehra hai Har pal lada hai mujhse usne par ye pyar bada hi gahara hai Bahna tu hi to mere Jine ki har aash hai Aur bus teri hi wajah se to ye tera bhai jamane me khash hai Bhale galti meri ho ya teri har baar mamma papa se maine hi daat khayi hai Par tune bhi to har daat ke baad me pyar se mujhe jhappi lagai hai Tu bhale hi chhoti hai mujhse par meri dadi maa se kam nahi Aur is riste me tere nakhre kisi film star se kam nahi... Chhod diya maine apna sara Gayan aur abhiman tere ek muskan ke liye Jala dunga main apni sone ki Lanka bus tere ek Afman ke liye Kyonki Apni bahan ke liye main ravan bhi kahalane ko tayar hu Aur is Sansaar se to kya main prabhu Shri Ram se bhi lad jane ko tayar hu Happy rakshabandhan bahan ANSH....

RAFTA RAFTA MAIN TERE BEWAFAI KI SACHAI DHUNDHTA HU

Image
Rafta rafta main tere bewafai ki sachai dhundhta hu Tune to kaha tha mujhse rahegi aakhari saas tak meri Fir kyon gayi chhod ke mujhe mere in halat pe akele Raat ke andhere me main tere rooh ki parchai dhundhta hu Rafta rafta main tere bewafai ki sachai dhundhta hu Jab tu aayi thi mere dil ke ghar me rahne ko kairayedar ki tarah To fir kyon jama li hak itna mujpe jamidar ki tarah Loot liya e bewafa tune mujhe itna is dhokhaye mohabbat me Ki Malik hote hue bhi main apne liye koi dusra makan dhundhta hu Rafta rafta main tere bewafai ki sachai dhundhta hu Hum tere dar pe bethe hai jalim Yu hamse darkinar na kar Ye aasik bhale hi tera purana hai par pyar abhi bhi zinda hai dil me tere liye Tune mujhe chhod diya in raho me ese musafir ki tarah Ki dar badar har pahar main tera pata dhundhta hu Rafta rafta main tere bewafai ki sachai dhundhta hu Tujhe bhi pata hai mera yu tujhme sama jana itna aasan na tha Tu diye ki lav aur main patanga jiska tere siva koi thika...

Ek Nanhi Si Jaan Hai Aane Ko

Image
Maa ki taklif mitane ko aur pita ka sir garv se uthane ko Nav mahine ka samay le ke  Ek nanhi si jaan hai aane ko  Pita ke jaisa dhairya bhi ho aur maa ke jesi komalta  Dono ke jesa ho aur ho kuch apne jaisa bhi Maa ki mamta ka koi mol nahi par pita ka pyar bhi kaha kam hota hai  Itejar jitna maa ho hai utna hi pita ko bhi hota hai Maa pita beth dono roj naye khawab sajate hai Wo aane wala Sachin sa ballebaj hoga ya kalam sa Buddhiman Mary Komsi  si mokkebaaj ya Kalpana Chawla si pratibhawan  Khilone ke dukan me khade hoke guna bhag bhi khoob lagate hai Aane wale bhavisya pe khade khade muskate hai  Maa ki taklif mitane ko aur pita ka sir garv se uthane ko Nav mahine ka samay le ke  Ek nanhi si jaan hai aane ko  Na jane kitni mannate maangi  na jane kitne vrat kiye  hr ek mandir me teka matha pyari si jaan tmhe pane ko Jb se jana h ki tum ane wale ho  anginat s...

Hum Beijing Tak Apna Tiranga Lahra Denge

Image
Corona ka janam data aur duniya me mout ka saudagar hai Han Ye china hi to hai jo Vishv ki santi ke liye sabse bada badhak hai Hum vishvguru hai shanti doot hai Hum hi bharat maa ke veer sainik aur sapoot hai Mat uljho humse e chhoti aakh walo Hum tujhe nako chane Chabwa denge Pichhe hat ja siachen se keh dete hai Warna hum Beijing tak apna tiranga lahra denge Hum bhartiya hai bharat vanshi hai Daan chhama aur tyag ye hi hamari niti hai Duniya bhar me shanti phailane ko rehte har pal tayar hum Par humari chhama bhaw ko kayarta na samjh lena murkho Ham me Shiv sa prachand aur maa durga ki teji hai Na takarana humse China wolo Hum is dhara se tera astitv hi mita denge Pichhe hat ja siachen se kah dete hai Warna hum Beijing tak apna tiranga lahra denge  Chiti se lekar chamgadad tak sab tune maje se khaya hai Apne vistarvaad ke liye pau bhi tune khoob phailaya hai Per sun le china ke gaddi pe bethe tanashaho aasan nahi hoga bharat me yu apni tanashahi cha...

Musafir Andhere Rasto Ka

Image
Musafir Andher rasto ka Manzil ka nahi mujhe pata Na pahle aana chahta tha is safar me Na ab chhod ke jane ko jee chahta hai Zindagi ka safar bhi kitna nirala hai  Char din ka safar hai aur mahine bhar ka rashan jutana hai Bhoot bhavishya sab secure karna hai Agle hi pal me kya hoga kab kisne jana hai Din bhar pasine baha baha ke kam karte hai  Chand lamhe thandi hawa me raat bitane ko Pata hai Agale hi mod pe mout khadi hai  Par zindagi Jine ke liye ye Jung har roj ladi hai  Har rishte me matlab chupa hai Yaha koi kab kiske liye ruka hai  Sabka apna apna safar hai  Saki apni apni manzil hai  Akela aaya tha musafir is safar me tu Akele jana hai manzil talak tujhe  Fir kyon ye bich me hamsafar dhundhta hai Aakho me jo anginat sapne hai Ho na ho bus yahi tere apne hai   Sube ki angadai aur din bhar ki tanhai hai Dekh tere dahlij pe mout ne dastak lagai hai Kiss baat ka khauf hai tujhe musafir  Yahi to teri aakhari manzil hai  Jiske...

HBD MY BETTER HALF

Image
Happy Birthday My Better half Wali Aadhi Tere aane se jindagi me ek kali si khil gayi Tujhe pa ke laga jese mujhe jannat hi mil gayi Rub ne tujhe bheja hai jami pe mere hi liye Kyon ki pal pal maga hai tujhe maine mere hi liye Tere aakho me nami kabhi aane na dunga Tere mathe pe sikan na padne dunga Chand sitare aasma se main tere liye tod launga Unhe phool bana ke tere kadmo ke niche bichhaunga  Tujhe pyar main itna dunga ki khuda bhi tere kismat me gum likhna bhool jayega Tu meri hai meri hi rahegi Sato janam me Yahi dua maine rub se magi hai Aur use ye dua Kabul karna hi padega kyon ki Tu to meri better half wali aadhi hai Happy birthday madam ANSH... KI... SANS...

PAPA THIS IS FOR YOU

Image
Pita ke jaisa dost nahi  pita ke jaisa na koi hamdard Na unse koi pehle hua aaj  na hoga kabhi kal  Jism unka ruh unki raat unki din ki doop unki Mera kya hai jo main laya hu sab unhi ka hai jo main paya hu Aane se mere chamak uthi thi unki aakhe Kiye the mera swagat faila ke apni bahe Kand kand me unke main samaya hu Unki hi to main ek chhaya hu Har zid meri puri karne ko har pal karte the kam wo Na Raat me na din me karte kaha the aaram wo Har sapna unka unhone mere liye chhod diya  Mere aakho se dekhne lage duniya  Apne liye jina chhod diya  Jee li apni zindagi mere hi liye  Apni khushiya mere pe nayochhar diya Kand kand me unke main samaya hu Unki hi to main ek chhaya hu Naam mera jo hua hai aaj se rakha tha unhone bade hi naaz se Hasna Rona pana khona sab mujhse tha unka  Mera unki duniya me aajane ke baad se Milo ka safar jo tay kar paya hu unhi ne sikhaya tha chalna Pakad ke mera hath apne hath me Kand kand me unke main samaya hu Unki hi to...

Ek Purani Kahani Naye Kalam Se ✍✍

Image
Tere yado ka bana k chadar maine odh liya sagar... Tere num aakho ko aur beparwah bato ko Maine chhod diya pakar Wo Aaye the meri zindgi me bankar anpadhe kitabo se, Jaise Rom Rom  bana ho unka aunchuye paymano se, Mujhe aisa laga jaise yahi wo kahani hai jise jina chahta hu main, Aur yahi wo jaam hai jisko sadiyo se pina chahta hu main.... Pal pal bitne laga samay uske sath jaise koi pariyo ki kahani ho, Aur ji raha tha main jaise kal hi khatam hone wali meri zindagani ho, Rab ne banaya tha use thoda bigad kar thoda sudhar kar, Jiti aise thi wo ki kho diya ho usne ye sab kuch koi Jung har kar..... Kuch kasmkash me chal padi apni zindagi uske sath, Pata nahi kaha tak jayegi ye silsilaye mohabbat kayamat ke baad, Bahut khusnuma chal rahi thi meri zindgi uske pass aa jane Ke baad, Par rab ko kaha manzoor tha mera yu haslena mere dildar ke sath....... Rab ne Kuch aisi firki chalai ki likh di meri zindagi me Tanhai hi tanhai, Wo juda ho gayi mujhse kyon ki use rab ne mujhse ja...

Road Trip

Image
Na jane jana kaha in rasto ko  Na jane kon si manzil hai pane ko Aade tirche road pe gadi ki tanki full kara ke Bus chale 4 dost duniya napne ko Raat ko mahfil saji bato bato me baat uthi Mobile pe map khula FROM pe your location aur TO pe random ek point select hua Kilometres ki parwah nahi but driving seat ka rotation set hua Char kapde bag me dale Bus chale 4 dost duniya napne ko Sab ne apna apna Jeb tatola kuch kam kuch jada note nikale Counting kar k bole thoda apne apne Jeb se paisa aur nikale  Har trip me ek aisa hota hai jo rakhta hisab anokha hai  Use hi accountant bana ke Bus chale 4 dost duniya napne ko Thodi ladai hui driving seat ke liye  aur thodi aage seat me baithne ki Fir nikle raat ke andhere me rasto ko manzil banake Petrol tank me tanki full kara li  Khane pine ka sara saman dal liya Gadi ka meter 100 se upar utha k Bus chale 4 dost duniya napne ko Char lakdi todi kahi se aur jode ite aur patthar kahi se Bana ke chulha lage fukne jungle me aa...

Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di..

Image
Home Quarantine Ke Din..... Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di.... Ek ek pal gin gin cut gaye ye 14 din, Kuch padha kuch likha aur kuch samjha hai, Ache ache pakwan khaye aur jee bhar ke soya hai, In 14 dino me na jane kitni baar hasa aur roya hai, Har khushi ke pal maine ek khidki se nihar li, Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di........ Na jane kitne web series aur movie maine yu hi katam kar dali hai, Webinar dekh dekh kitni shame nikali hai, Engineering ka ho k maine market sales ke bhi online Training dekh dale hai, YouTube ke 40 business to maine man hi man kar dale hai, Online hi maine sari duniya nap di, Ek Kamare me maine jese 14 sadiya gujar di...... Dosto ko ristedaro ko bhi phone kar kar ke bahut sataya hai, Esi chhote chhote lamho me maine ye 14 din bitaya hai, Kisi se pyar se baat ki kisi ka sir bhi bahut khaya hai, In sabne mera nakhra bhi khub uthaya hai, Ristedaro aur dosto se itne salo ki baat na karne ki kasar Nikal di , Ek Kamare me ...

Tumhari Aahat Milo Se Pahchan Leta Hu

Image
Main To Tumhari Aahat Bhi Milo Se Pahchan Leta Hu Teri achhai aur apni burai ke pool bandh leta hu, Tumhare khilkhila ke hasne ka kya, Main to tumhare ek halki si muskan me hi sama saaj leta hu, Dur ho tum mere najro se to kya hua E dil, Main to tumhari aahat bhi milo se pahchan leta hu.... Main rukhsat hua maykhano se, Kyon ki tera NASHA hi bahut tha paimano me, Nadan hua Raat ki chandani se aur din ke unjale se, Main to kaid ho chala tere julfo k ghane kaid khano me, Aur wo puchte hai ki kese main tumhe bina paye apna man leta hu, Main to tumhari aahat bhi milo se pahchan leta hu..... Khawab Aakho me aaye aur need rukhsat hue, Chhot yado pe lagi aur dil pe murkad hue, Lafaj Juba p aaye aur umide qurbat hue, Jis pal Tum humse, to us pal hum is duniya se fursat hue, Yahi ek nazam dil me utar leta hu, Main to tumhari aahat bhi milo se pahchan leta hu.... Ruh K andar aur jism k bahar me bhi tumhi tum ho, Mere raag aur sangeet K gagar me bhi tumhi ...

Fir Se Muskuraega BHARAT

Image
Fir Se Muskuraega BHARAT Ye kya hua hai aaj is kayanat ko, Dekhte dekhte mahino beet gaye is baat ko. Dukane band hui udane band hui, Har pal bhagne wala insan band hua apne Makano me. Ek chhote se virus ne kya kamal kar dikhaya hai, Apne aap ko mahan samjhne wale insan ko acha maja chakhaya hai. Tel ka tel nikal gaya non veg ki band Dukan hui In do mahino me hi pura arth vaywastha charmara ke nidhal hui Chaina ka nam badnam hua hindustan sab ka rahnuma bana  Kisi ek ne rog diya aur is marj ki dawa dhundhne me puri duniya ek dor hui Maykhane itne jaruri the ye ab ja ke Malum hua Jo khud sambhal pate nahi the desh ko sambhalna unhi k kandho ka bhar hua. Pata nahi gujrat itte din se kese khada hai waha to ye sab sadiyo se band pada hai Ab wo gali muhallo me ghumte aashiko ka  Jor nahi, Isliye ab beauty parlor wala kharcha aur nahi. Ye Corona kal kya kya samay dikha raha hai, Dur desh me bethe logo ko bhi ghar  bula raha hai. Pair me chhale padh rahe hai fir bhi dekho, Mere ...